Rukh-E-Doraan K Khad-O-Khal Guzar Jate Hain
Halaat Jese Bhi Hon Beherhaal Guzar Jate Hain
❤❤❤
Pehle Pehle To Kat'ta Nahi Ek Lamha Bhi Judai Ka
Phir Lamhe Lamhe, Kayi Saal Guzar Jate Hain
❤❤❤
Jaan Pe Bhaari Hua Hai Faqat Azab-E-Tanhai
Yoon To Har Roz Kayi Wabaal Guzar Jate Hain
❤❤❤
Naqsh Mit'te Nahi Soch K Da'iron Se Kabhi
Tere Khayalon Se Hum Be-Khayal Guzar Jate Hain
❤❤❤
Kon Pathar Se Musalsal Takraye
Gham Bhi Ho Kar Nidhal Guzar Jate Hain...